A book must be an ice-axe to break the seas frozen inside our soul.

Franz Kafka

Bạn cần đăng nhập để download eBook.
 
 
 
 
Maine Puchha Chand Se Ke
Sáng tác:
Warning: Invalid argument supplied for foreach() in /var/www/pghtml/web/motsach/lyrics/lyrics_content_body.php on line 26
Ca sĩ: Mohammed Rafi
Lời nhạc Mohammed Rafi: epub ePub PDF A4A4   PDF A5A5   PDF A6A6  
 
 
Maine poocha chand se
ke dekha hai kahin
mera yaar sa haseen
Chand ne kaha
Chandni ki kasam, nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...
Maine yeh hi jaab tera dhoondha
har jageh shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochi
phoolon ne jawaab tera dhoondha
maine poocha baag se
falak ho ya zameen
aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam
nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...
Ho, Chaal hai ke mauj ki ravaani
Zulf hai ke raat ki kahani
Hont hain ke aaine kawal ke
aankh hai ke mahkadon ki rani
maine poocha jaam se
falak ho ya zameen
aisi meh bhi hai kahin
jaam ne kaha mehkashi ki kasam
nahi nahi nahi
Maine Poocha Chand se...
Khoobsurati jo tune paayi
lut gayi khuda ki bas khudaayi
meer ke gazal kahun tujhe main
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi
main jo poochun shayaron se
aisa dil nashi
koyi sher hai kahin
shayar kahen shayari ki kasam
nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...