Never get tired of doing little things for others. Sometimes those little things occupy the biggest part of their hearts.

Unknown

Bạn cần đăng nhập để download eBook.
 
 
 
 
Babul Ki Duaayein Leti Jaa
Sáng tác:
Warning: Invalid argument supplied for foreach() in /var/www/pghtml/web/motsach/lyrics/lyrics_content_body.php on line 26
Ca sĩ: Mohammed Rafi
Lời nhạc Mohammed Rafi: epub ePub PDF A4A4   PDF A5A5   PDF A6A6  
 
 
(Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile) - 2
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile
Naazon se tujhe paala maine
Kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachpan mein jhulaaya hai tujhko
Baahon ne meri jhoolon ki tarah
Mere baagh ki ae naazook daali
Tujhe harpal nayi bahaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Is ghar se bandhe hain bhaag tere
Us ghar mein sadaa tera raag rahe
Honton pe hansi ki dhoop khile
Maathe pe khushi ka daag rahe
Kabhi jiski jyot na ho pheeki
Tujhe aisa roop singaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Beete tere jeevan ki ghadiyaan
Aaraam ki thandi chhaon mein
Kaanta bhi na chhubne paaye kabhi
Meri laadli tere paaon mein
Us baar se bhi dukh door rahe
Jis baar se tera baar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile
Babul ki duaayein leti jaa